Jilmilati si subh.. aur sitaaro ki raat chahiye.

Sehar naya ..sapne puraane hain
sabd badle.. par wahi tarane hain
kal ki khoj mai aaj ka sath chahiye 
mil jaayengi manzilen ..
Jilmilati si subh.. aur sitaaro ki raat chahiye.

Kosishien kam rahi..par armaa zayada hai
paayenge ush mukam ko ..khud se yeh vadaa hai
inh mehnat ke tukro mai.. ush khuda ka haath chahiye
thake nai hum chalte chalte.. bus
Jilmilati si subh ..aur sitaaro ki raat chahiye.

Khawab hain mere apne..kisi se chori nai kiye
raasto ko mere .. manzil mai hum badal diye
jina hai aur bhi bahut.. bus jine ka ehsaas chahiye
kam bhi padh jaaye saanse toh kya..
Jilmilati si subh .. aur sitaaro ki raat chahiye.

copyright, All Rights Reserved 2013, Richa Gupta

No comments:

Post a Comment